Zindagi aaj un kagaz ke tukdo ki tarah hai…
Bikhar chuke hain wo
Par bichadna nahi chahte..
Kahi chod aaye wo pal..
Socha tha yuhi guzar jayega safar yaadon mien...
Kuch dhundna chahti thi
Shayad ek awaaz
Ya phir ek khwab
Ya roshni ka pal
Ya khilti hui muskurahat
Jo bas zindagi se kahe
Ki saansien lo, magar jeene ke liye
Kuch hai,
jo tum kabhi khona nahi chahte
Rishte kitna bhi dard de
Pyaar khona nahi chahte
Aaj dil ki is awaaz se
Ek nagma suna diya
Bahut door jaa rhe hain..
Isliye bata diya…